Amit Kamble
Fulon me rang Tune dala, Panchhi ko gana Tune sikhayaSagar se gahara pyar Tera, Asamano se Tu hai uchcha
Yeshu Teri Dya Se, Main Jeevan Jeeta HoonYeshu Teri Krupa Se, Main Aage Badhta HoonDhanyawaaad Dhanyawad, Yeshu Tera Dhanyawaad
Bhojan se trupta karata, Tann ko mere kapadon se dhakataMere sare dukh darda ko, Anand se badal deta
Tu hai Yahova Shalom, Shanti dene WalaTu hai Yahova Nissi, Jay har damm dene WalaDhanyawaad dhanyawaad, Yeshu Tera Dhanyawaad…