Vandana
✕ ExitShukriya (Ae Khudawand Yeshu)
Chorus

Shukriya...aaaaa x 3

Verse 1

Ae Khudawand Yeshu Barkato se main bharpur hu Khush hu main Prabhu, trupt hu Gherayiyon se dhanya kahun Awaaz uthakar kahun - 2

Verse 2

Tere vachano ko dhrid pakadkar main chalta hu Har musibato ka mukabla karke main badhta hu - 2 Yeshua Teri daya, Yeshua Tera saaya Mere saath har pal hai Shukriya Shukriya... Shukriya…aaaaa x 3

Verse 3

Mujhme Teri Aatma ka abhishek hai, main kabil hu Shatru ki chal aur kapat ki yojnao par main jay-vant hu - 2 Yeshua Teri daya, Yeshua Tera saaya Mere saath har pal hai Shukriya Shukriya... Shukriya...aaaaa x 3

Verse 4

Mujhme Teri yojnao ko sampoorna kar main tatpar hu Tujhe dekhne aur Tere sang rehne me utsuk hu - 2 Yeshua Teri daya, Yeshua Tera saaya Mere saath har pal hai, Shukriya Shukriya... Shukriya…aaaaa x 3