Unknown Artist
Yeshu kee baabat sunaoHo taaki voh dil-nisheenYeshu kee baaten besh-keematShahad se zyaada sheereen
Kaho ki kyonkar firishteGaate the hamd o sipaasJab ki Khudaawand ne aakePahina hamaara libaas
Kaho voh baaten ajoobaTanha jab jangal mein thaJahaan ki dushman hamaaraMunjee se lad kar giraKaho sab uskee museebatKaho sab uska aazaarKaho voh mehanat va dikkatKaho voh uska pyaarKaho ki kyonkar voh muaKyonkar voh hua masloobKyonkar voh mar kar phir jiyaKyonkar voh mera mehboobUlfat i munjee masihaDil ko hai kaisee lazeezYeshu hai mera munajjeeYeshu hai mera azeez