Unknown Artist
Aaj hai maha anand ka susamayYeshu Masih ka janm din yah haiAaj harsh se hum sab gaayein uske geetAur uski stuti kar dikhayein apni preet
Hey Prabhu, hey Prabhu, tu aaj upasthit hoKi tera yah anand ka din aashirvit ho
Bachchon ka mann anand se hai bharpoorRona aur ranj sab unse hua doorBalakon ka mitra Prabhu Yeshu haiWah unko apne paas bulaake rakhta hai
Ishwar ka swarg mein ho gunaanuvaadShaant hokar prithvi deve dhanyavaadAahlaadit ho aur traan ki aasha karParmeshwar ki prasannata hai manushyon par