Yeshu jab jheel se pahaad pe gayaaAnkh utha ke usne badi bheed ko dekhaShaagird kehne lage din hai dhal gayaaRukhsat karo unko jaane do KhudaYeshu ne kahaa inko khane ko doKitna hai tumhare paas, kehne lage wohPaanch roti, do machhliyanDhanyavaad Prabhu, dhanyavaadPaanch hazaar logon ko hum kaise khilayenKitne sau dinar ki hum roti mangaayenDarte darte phir magar kisi ne ye kahaHai yahaan pe ek ladka jiske paas hainPaanch roti, do machhliyanDhanyavaad Prabhu dhanyavaadGhaas pe Yeshu Masih ne sabko bithayaRotiyan li shukr kiya, baant do kahaaPet bhar ke sabne khaya khatm na huaHo gaye hairaan saare, dekh mojzaatBaaraah tokri, bach gayi jahaan thiPaanch roti, do machhaliyanDhanyavaad Prabhu dhanyavaadJeevan ki roti ke saath khade theVishwas kam tha isliye woh dare theYeshu ke haathon mein de do har baatShak na karo, karte raho sirf dhanyavaadKuch bhi kami na rah jaayegiMahima Prabhu ki ho jaayegiDhanyavaad Prabhu dhanyavaad