Yeshu Ke Naam Me Shifa Hai Shifa Hai Yahi Kalaam Ne Likha Hai Likha Hai
Yeshu se shaitaan hara hai - hara hai Yeshu ne usko mara hai - mara hai Yeshu ne khoon bahaya hai - bahaya hai Yeshu ne humko bachaya hai Yeshu hai saccha Masiha Padh ke kalaam dekh lo...
Yeshu se darti hai badroohe saari Yeshu se darti hai har bimari Yeshu ke pyaro dukh se na haro Yeshu ko sacche mann se pukaro Yeshu ka wada saccha hai - saccha hai Jo bhi Woh kehta hai hota hai - hota hai Yeshu Yahova Rafah hai Yeshu Khuda ka hai Beta Padh ke kalaam dekh lo...
Yeshu ke pairo ko ashko se dhokar Ye kaha tha mariyam ne rokar Yaha agar Tu ae Rabbi hota Humara bhai Lazar na marta Kaha Yeshu ne aye lazar - aye lazar Aa nikal kabr se bahar - aa bahar Chaar din ka woh murda Pal me ho gaya zinda Padh ke kalaam dekh lo...
Yeshu Yahova Raja ke jaisa Hua na koi hoga na koi Yahova Shamma, Yahova Shalom Yahova Nissi, Yahova Yireh Jald Yeshu aayega - aayega Humko saath le jaega - le jaaega Khuda ke paas humare liye Usne ghar hai banaya Padh ke kalaam dekh lo...