Yaad kar Tu Kaha Se Gira Laut Aa Aur Mann Ko firaa
Pahla sa prem tune chod diya Yeshu se naata tune tod diya Bhul gaya Uske balidan ko Kalvari pe di Usne jaan ko
Abhi waqt hai tauba kar apne kiye par Fir na jana us ghinoni sadak par Laut aa tujhko Yeshu pukare, Dekh Yeshu ne baahe pasare
Aya nahi mudke tu dekh pachtayega Yeshu aake chala jayega, Tu yahi reh jayega Kaun tujhko sambhalega, Kaun tera haath thamega Kaun tere aansu pochhega Koi nahi hoga, Koi nahi hoga