Tera lahoo, jis din baha Saleeb se, ban kar shifa Us din se main, sab paapon se Sab shraapon se, azaad hua
Andhere ko raushni tu banata hai Jo hai nahi, kehkar use bulaata hai Sookhi hui haddiyan tu jilaata hai Naamumkin ko mumkin kar dikhata hai
Changaai meri viraasat hai Yeshu tu hi meri hifaazat hai
Tere pankho mein changaai hai Yeshu naam bada hi chamatkaari hai Tere chhoone se swasth ho gaya main Tujhse mil ke sampoorn ho gaya main
Aaj yahan pe changaai hai Tere chamatkaar ki baari aayi hai Tujhko chhookar wo swasth kar raha hai Sampoornta ka samay aa gaya hai
Aaj yahan pe changaai hai Mere chamatkaar ki baari aayi hai Mujhko chhookar wo swasth kar raha hai Sampoornta ka samay aa gaya hai
Tere vachan, par main khada Hoon main changa, hoon main riha Tera vachan, sabse mahaan Prabal hua, hai sarvada