Kya koi Tere jaisa bachane wala Tu hi hai Khuda Tera raj ab hai yahaan Har raja se ooncha hai Yeshua
Vedi ke upar hum khushi se qurbaan Mar mite hain kab se junooni Tera pyaar Na matlab hai iss duniya se hum jeevit balidaan Tu Zinda karne wala Prabhu punaruthaan
Kayi aaye raaja kiya kabza aur sataav Hukumat ki praja pe talwar se kiya naash Sirf panne banke reh gaye kitaab-e-itihaas Par Yeshu Teri saltanat rahe Tera jalaal
Khudayi jazbe ki hum mein nahi kami Aag ki saza hamari vedi bani Jalte marte jaayein tab bhi himmat na hari Hai jeet hamari ho chuki karte elaan abhi