Tera pyaar hai mahaan, tera pyaar hai mahaan,Main jo pehle murd tha, tune daali mujh mein jaan.
Kyon na boloon phir main teri jai–jai–kaar.Jai–jai–kaar, jai–jai–kaar,Tune mere liye kya kuchh na kiya.
Meri soorat bigdi thi, mera dil tha khaali,Tune seecha lahu se, taaki aaye hariyaali.Kyon na boloon phir main teri jai–jai–kaar.
Aayi jeevan mein khushi, aayi abdi zindagi,Tu hai zinda Shafiya, tune yeh hai kiya.Kyon na boloon phir main teri jai–jai–kaar.
Apni Rooh se bhar diya, apni shakti mujhko di,Taaki doon main gawaahi, tere jee uthne ki.Kyon na boloon phir main teri jai–jai–kaar.