Teri Barkat Ka Bayaan Karta Hoon Ae Masih Tujhko Aaj Main Salaam Karta Hoon Oos Kaanaa Nagar Ki Daastaan Kuch Labzon Me Bayaan Karta Hoon
Sun liya Paani Ne Yeshu Ki Vaani Nahi Ki Apni Khud Ki Manmaani
Kaana Gaaon Me Badi Dhoom Thi Shaadi Ki, Waha Badi Bheed Thi Saarey Mehmaano Ki - 2 Yeshu Ki Maa Mariyam Bhi Usme Sharikh Thi, Shaadi Ki Raat Dekho Kitni Rangeen Thi - 2 Yeshu Masih Bhi Waha Shaadi Me Aaye The, Saare Chele Bhi Woh Saath Apne Laaye The - 2 Saath Apne Laaye The - 3 Woh Raat Thi Badi Suhani - 2 Sun liya Paani…
Yeshu Ke Kehne Se Daaso Ne Kaam Kiya, Paani Ke Che Matko Ko Muhaa Mooh Bhar Diya - 2 Daaso Ne Ek Duje Se Kaha Ab Kya Hoga, Mann Me Ye Socha Sabne Paani Se Kya Hoga - 2 Paani Ne Jaan Liya Ye Khalid Ki Zubaani, Kaise Na Badlu Main Apni Rawani Kaise Na Badlu Main Apni Rawani - 2 Apni Rawani - 3 Oos Raat Ne Likhi Ye Kahani - 2 Sun liya Paani…
Yeshu Ne Daaso Ko Phirse Aadesh Diya, Bhoj Ke Pradhan Ko Paani Woh Chakhaa Diya - 2 Daaso Ko Tajub Hua Matko Me Paani Tha, Ye Toh Yeshu Masih Ka Pehla Chamatkar Tha Yeshu ke Seva Ki Ye Toh Shurwaat Thi, Saarey Chelo Ke Liye Ye Adbhut Baat Thi Kaana Gaaon Me Toh Ye Charcha Fell Gayi, Yeshu Prabhu Ki Waha Mahima Ye Ho Gayi - 2 Mahima Ye Ho Gayi - 3 Woh Raat Thi Badi Jalali - 2 Sun liya Paani…