Rajya rajya ke log stuti kareKyonki Yeshu raaja huaDesh desh ke log aanand kareKyonki Yeshu raaja huaNadiya taali bajaae pahaad jhoom utheMaidaan prafullit ho samudra garaj uthe
Teri karuna kaisi anmol haiTeri sachaai aakashmandal mein haiTeri dharmikta unche parvat samaanTere saare niyam athaah sagar samaanNadiya taali……
Yahova mahaan aur stuti ke yogya haiAao saraho milkar usko bhajeUske samarth ki koi tulna nahiUske prem ki koi seema nahiNadiya taali……Aakaash aanand karePrithvi magan hoSaare log jayjay kaar kareAur naam uska uncha kareNadiya taali bajaae pahaad jhoom utheMaidaan prafullit ho samudra garaj uthe