Vandana
✕ ExitParmeshwar Pita Parmeshwar
Chorus

Parameshwar Pita Parameshwar Tu hi hai Daata Humare Jeevan Ka Jeevan Se Bhi Hai Uttam Teri Karuna Sada Hum Par

Verse 1

Banjar zameen se Tu ugaata hai phasal Sukhee zameen se Tu bahata prem jal Ye aasmaan aur ye zameen Gaatey hai Teri Mahima Parmeshwar Pita Parmeshwar...

Verse 2

Hum ko banaya Tune Apne roop me Dekar jeevan bheja Tune sansar me Yeh jindagi meri sada Karti hai Teri Mahima Parmeshwar Pita Parmeshwar…