Tu hi dard deta, marham lagata hai Tu tarai mein le jaaye, uncha uthata hai Tu ghure se uthaake, shahzaadon sang baithaaye Jab koi Tujhe pukaare, uske sang Tu aa jaaye
Pankhon taley Tu chhupayega mujhe Ungliyon ko meri thaam ke Tu chalayega mujhe Emmanuel, Tu saath rahega Andheron mein bhi mujhko Tu Girne na dega
Dua mein shabd na rahein Aansu hi bayaan karein Jo kehna chahun Tujhse main Khuda Ye aansu hain to bah rahe Par haara nahin hoon main Imaan ab bhi Tujhmein hai mera
Aaya hoon paas main Tere leke saari khwahishein Par sabse zyada Tu chahiye Koi samjhe na mujhe, chahe koi kuch kahe Mujhe sabse zyada Tu hi chahiye
Gar bikhra sa hoon, Tu sawaar dega Gar toota main hoon, Tu sambhaal lega