Hallelujah Pak Yahova Mujhe Maaf Karta Hai Lahoo Yeshu Ka Mujhe Saaf Karta Hai
Woh jo be-aib tha Woh aib mere le gaya Apne Lahoo se Woh nazaat mujhe de gaya Kaun karta hai itna Pyaar jo Yeshu ne kiya
Yeshu ka kamaal hai Yahova ka jalaal hai Meri taakat hai Yeshu, Yeshu meri dhaal hai Maine bass itna kiya Uska ikraar kiya
Dil me basaya use Rooh me basa liya Yeshu Masih ne mujhe apna bana liya Aane wala hai jald Lene mujhe Mera piya