Mere Jeewan Ka Maksad Tu Hai Mere Jeene Ka Kaaran Tu Hai Main Jeeyu Ya Maroon, Woh Tere Liye Hai Tu Mera Prabhu
Pichla sab bhool kar, Main aage dauda chalu Jo mere liye dhan hai, Uski main tyaag doon Ki main pau Usse puraskar, Dauda main jaaon Main jeeyu ya maroon…
Mujh par hui hai Kripa, Bekaar na jaane doon Jisne mujhe hai chuna, Uski ore badhu Dekhu Teri Salib par, Khicha main jaaon Main jeeyu ya maroon…