Mere Jaise Paapi Ko, Mere Jaise Rogi Ko Mere Jaise Nirdhan Ko, Mere Jaise Beghar Ko Toone Gale Se Lagaya, Kitna Pyaar Kia
Paapon ki keech me, jab main phasa tha Tune hi ki Krupa Keech se mujhko Tue nikala Lahoo se phir dho diya Dal dal se mujhko nikala, Mujhko pyaar kiya
Paapon me jab main bandha hua tha Toone hi chudaya Beta banaaya, mujhko Apna Mujhko sahara diya Jeevan ka maarg dikhaya, Sachcha pyaar kiya Mere jaise Paapi ko…