Kya main jo chela Memne ka, aur kroos ka yoddha hoon,Sharmaoon naam ke maanne se, aur seva na karoon.
Naam se pyaare Prabhu ke, jisne diya apna praan,Vishwas se kroos uthaoonga, kheecht Yeshu ke samaan.
Jayphal parishram sankat se, auron ne paaya hai,Kya baithoon aaraam ke saath, sukh bhogoon har samay.
Kya dushton ka main saamna karoon, shaitaan se na ladoon,Sansaar par kya mukt hone ka, bharosa main karoon.
Jo raajya main karna chahta hoon, to nishchit ladna hai,Sahunga dukh parishram ko, jab tak na ho vijay.