Kalee kalee chaman kee aaj muskara utheeYe kya hua ki raat bhee hai jagmaga utheeZamee ko aaj raushnee ka taara mil gayaMaseeh khuda ke noor ka nazaara mil gayaHoshanna hoshanna hoshanna hoshannaChalegen manzilon talak ye dil ke kaafileTamaam hone ko hai ab safar ke marahaleBhanvar mein goya qashtee ko kinaara mil gayaMaseeh khuda ke noor ka nazaara mil gayaChalo ke ab ujaalon ke safar pe jaayengeNayee zamee nayee dagar ko ham bhee paayengeKhushaamadeed salaamatee ka taara mil gayaMaseeh khuda ke noor ka nazaara mil gayaBahaar titaliyaan nayee faza banaayegenHayaat mein nishaat ke dhanak sajaayegenChaman ko husn-ai-noor ka ishaara mil gayaMaseeh khuda ke noor ka nazaara mil gaya