Jai Jai Naam Yeshu Naam Gaoon Main Subhoshaam
Balheen ka sahara, paapiyon ka dost hai Tu Yeshu Tu hai kitna pyara, Shabd na kaise bataoon Jai Jai Naam…
Tujhme bana rahoon toh, amrit phal laoon main Gaoon Teri Jai sadaa toh, Tujhsa ban jaoon main Jai Jai Naam…
Tu hi hai jo mujhko bulata, Deta hai jeevan jal Teri shakti paaon sada aur, Yojanaye safal (Teri shakti paaon sada aur, Yojanaye safal ho jaaye) Jai Jai Naam…