Hawa mein hai ek gaanHai aasmaan ka taaraDua mein man har aanRota bachcha pyaara
Sitaara hai roshanHai haseenon ka gaan
Bethelehem kee charnee mein haiShaah ai jahaanHai khushee bulandAur paidaish ajeebKunwaaree ka pharzand haiDuniya ka habeeb
Bethelehem kee charanee mein haiShaah ai jahaanIs sitaare ka noorSe zamaana purshaanAur voh raag jo tha doorUsse duniya shaadmaanHar ek ghar hai masaroorHai haseenon ka gaanaKul duniyaan ke gharon mein haiYeshu sultaanHum us noor mein masaroorAur us raag se hain shaadJisse raat thee maamoorAur aasmaan tha aabaadKhush khabar ko sunakarAb hum hote hain shaadMubaarak voh paalne mein haiYeshu sultaan