Jo Haq-Ta'aala ke parde mein rehta Wo Qaadir-e-Mutlaq ke saaye mein Sukoonat karega, sukoonat karega Jo Haq-Ta'aala ke parde mein rehta
Raat ki haibat, na din ke wo teer Chhoo bhi na paayein tujhko, wo hai kareeb Har aafaton se chhudaanewala Mushkil mein saath nibhaanewala Wo kaayam rahega, wo kaayam rahega
Sayyaad ke phande se wo Mohlik wabaa se chhudayega wo Pankhon mein apne chhupaanewala Haathon se apne bachaanewala Tere sang rahega, tere sang rahega
Raahon mein teri, hifaazat kare Thes na lagne dega, paaon ko tere Farishte teri sab raahon mein Tujhe aage peechhe se ghere rahenge Aisa wo karega, aisa wo karega
Dil jo lagaaya, tune Khuda se Tujhko bachaaye, har ek wabaa se Us Yeshu naam ko jab bhi pukaaro Prabhu Yeshu naam ko jab bhi pukaaro Tumhari sunega, sang rahega Tumko chhuda ke, izzat wo dega Mushkil ghadi mein, sang rahega Har ek ghati ko, poora karega Haath pakad ke, sang chalega Muraadein tumhari, wo poori karega Umradraaz tumko karega Umradraaz tumko karega