Vandana
✕ ExitDil se Aaradhna Karu Main
Chorus

Dil se, Aaradhna karu main Is zuba se, Naam Tera hi loon main Poore dil se, Aaradhna karu main Is zuba se, Naam Tera hi loon main

Verse 1

Karta Hu Tera Shukriya Main Prabhu Karta Hu Tera Shukriya Main Tere Fazal Me, Teri Daya Me Lipta Main Rehta Hoon Main Rehta Hoon

Verse 2

Jab hota hoon, Bechain kabhi Teri Rooh tab mujhko thamti hai Meri mushkilo me, Har ek dard aur gamm me Khudawand Tu hi, Mera shaafi hai

Verse 3

Jab leta hoon main Naam Tera Teri Samarth ko tab main dekhta hoon Tujhse mili, Har barkat mujhe Mehfooz Tere Sang main rehta hoon