Aaya hai Yeshu aaya hai,Mukt le saath aaya hai.
Jangal mein mangal doot mil gaate,Jai-jai ho Prabhu, jai-jai ho,Shaanti mel laaya hai.
Dekhan gadariye chale raat mein,Dooton se sun ke, dooton se,Masiha Mariyam ka jaaya hai.
Poorab desh se chale manjoosī,Taare se dekho, taare se,Pata Yeshu ka paaya hai.
Yarushalem ja poochhan laage,Kis ghar ji raaja, kis ghar ji,Mukt ka raaja aaya hai.
Daas suna jab prem Masiha ka,Tan man se logo, tan man se,Sharan Yeshu ki aaya hai.